Gulabi Aankhen Lyrics – Mohammad Rafi

Gulabi Aankhen Lyrics by Gulabi Aankhen is the latest Hindi song lyrics written by Anand Bakshi and the beautiful music has been given by R.D. Burman.

gulabi-aankhen-lyrics-mohammad-rafi

Gulabi Aankhen – Mohammad Rafi

Song: Gulabi Aankhen
Singer: Mohammad Rafi
Lyrics: Anand Bakshi
Music: R.D. Burman

Gulabi Aankhen Lyrics

Gulabi aankhen jo teri dekhi
Sharabi yeh dil ho gaya
Sambhalo mujhko oh mere yaaron
Sambhalna mushkil ho gaya

Dil mein mere khwaab tere
Tasveer jaise ho deevar pe
Tujh pe fida main kyun hua
Aata hai gussa mujhe pyar pe

Main lut gaya maan ke dil ka kaha
Main kahin ka na raha
Kya kahun main dilruba

Bura yeh jaadu teri aankhon ka
Yeh mera kaatil ho gaya
Gulabi aankhen jo teri dekhi
Sharabi yeh dil ho gaya

Maine sada chaha yahi Daaman
Bacha loon haseeno se main
Teri kasam khwaabon mein bhi
Bachta phira naazneeno se main

Tauba magar mil gayi tujhse nazar
Mil gaya dard-e-jigar
Sunn zara oh bekhabar

Zara sa hanske jo dekha toone
Main tera bismil ho gaya

Gulabi aankhen jo teri dekhi
Sharabi yeh dil ho gaya
Sambhalo mujhko oh mere yaaron
Sambhalna mushkil ho gaya

Gulabi Aankhen Music Video

Leave a Comment